hai aafat-e-jaan husn ki shokhi bhi ada bhi honton pe tabassum bhi hai nazron mein haya bhi shamil teri aawaz mein taron ki nawa bhi sharminda tere nur se kirnon ki ziya bhi mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miti hai sunta hai koi saz-e-shikasta ki sada bhi rakhta hai baghawat ke sharare bhi nazar mein ye ishq jo hai paikar-e-taslim-o-raza bhi rukh pher diya tund hawaon ka kisi ne haalat se apne koi majbur raha bhi bach kar hi chale hum to zamane ki rawish se aazad-rawi ka hamein ehsas hua bhi akasr lab-e-lalin ke tabassum ki kiran ne ummid ke khakon mein naya rang bhara bhi ai 'naqsh' karen soz-e-tamanna ka bayan kya sau bar diya dil ka jala bhi hai bujha bhi