chand viran hai sadiyon se mere dil ki tarah zindagi gham hai khala mein meri manzil ki tarah kurra-e-arz hai ek markaz-e-hangama-e-shauq bahr-e-be-ab mein tahzib ke sahil ki tarah zarra-e-khak se hai shoala-e-jauhar ki numud jis ne suraj ko bhi dekha hai muqabil ki tarah kal ke changez-o-halaku hain pas-e-parda-e-khak surkh-ru the jo kabhi khanjar-e-qatil ki tarah mere qadmon ke nishan chand pe rakhshanda hain aap aa jaiye aawara-e-manzil ki tarah girah-e-sham-o-sahar ahl-e-khirad se na khuli zindagi aaj bhi hai uqda-e-mushkil ki tarah