hai aaj mujh par itab aisa ki jit kar haar chun raha hun main apne har samt dur tak sirf khar hi khar chun raha hun hon khwab zinda to zehn-e-insan un ki tabir mangta hai main is liye apne sare khwabon ko bain-s-diwar chun raha hun adu se main be-khabar nahin hun jawab main bhi zarur dunga main us ka har war jhel kar sab se kargar war chun raha hun ye mera manshur to nahin hai main apne dushman ko bhi saza dun mere ilahi main kyon qalam chhod kar ye hathiyar chun raha hun main ahl-e-maghrib ka muntazir hun khuda unhen kaamyab kar de wo jald marham talash kar len main apne bimar chun raha hun ye rah-e-haq par jo gamzan hain laga chuke hain saron ki bazi jo sar salamat rakhe hue hain unhin ko sardar chun raha hun mere numu se jo ye taghayyur hai mujh mein ye bhi kamal-e-rab hai main rab ki azmat ke hi tanazur mein koi shahkar chun raha hun hai koi boli lagane wala kharid le jo zamir mera main ek hi khush-nasib tajir hun jo kharidar chun raha hun abhi ishaara hua hai mujh ko ki sath mere hon chand rufaqa so wapsi ka hai dar khula hai main bas wafadar chun raha hun