us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si

us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si
dil pe sidhe lag jati hai us ki baat nukili si

sukhe sukhe lab hain us ke us ki palken gili si
jaane kaisa dard mila hai aankhen hain pathrili si

uryani ka raqs hai jari bas ek batan dabaate hi
nasl-e-nau dekhe jati hai filmen nili nili si

is raste pe chalna behad mushkil behad mushkil hai
sachchai ki rah hai yaro rah bhi wo pathrili si

sasti hai behad ye jaan bach ke rahna jaan-e-jaan
jaane kaisi hawa chali hai sansen hain zahrili si

aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close