hai aarzu ki apna sarapa dikhai de aaina dekhta hun ki chehra dikhai de masruf is qadar the ki sawan guzar gaya hasrat rahi ki abr barasta dikhai de khamosh hun ki bolna tohmat hai is jagah jab dekhna nahin hai to phir kya dikhai de socha tha bas ki zehn mein taswir ban gai ab aankh kah rahi hai ki chehra dikhai de ab dhul ki bajae dhuan hai fazaon mein khilqat pukarti hai ki sahra dikhai de chehron ka rang zard hua dhup ki tarah 'shahid' kahin to abr ka tukda dikhai de