puchh mat kal aaine mein kya hua apne zinda hone ka dhoka hua roz suraj dubta ugta hua waqt ki ek kil par latka hua aa gaya le kar udhaari raushni chand ne suraj ko hai pahna hua tishnagi apni bujhaen kaise hum jo samundar tha wo ab sahra hua shahr se jab bhi ye dil ukta gaya dasht ki jaanib mera jaana hua khubiyan meri koi ginta nahin ek zara si bhul ka charcha hua aa gai hun dur chalte chalte main aasman par hai wahin thahra hua yaad us ki dil se kyun jati nahin wo to 'sima' kal tha ek guzra hua