hai aasebon ka saya main jahan hun shab-e-dasht-e-bala mein be-aman hun hawa ki zad pe jaise shama ki lau main apne hauslon ka imtihan hun charaghan sa hai darwaze pe lekin main andar se koi tera makan hun wo baadal tha hawa ka ham-safar tha main tishna-kaam fasl-e-raigan hun sutun kachche the barish sah na pae sulagti dhup mein be-saeban hun pata mera ab us ko kya milega nishan hote hue bhi be-nishan hun