jahan-e-rang-o-bu par chha raha hai har ek parde se wo jalwa-numa hai bashar thokar pe thokar kha raha hai saza apne kiye ki pa raha hai tamanna aur phir un ki tamanna ye irfan-e-khudi ki intiha hai buton ko dekh kar aata hai tu yaad buton ke husn mein jalwa tera hai kahin tu hai kahin taswir teri na kaba hai na koi but-kada hai tumhaari yaad kar leta hun taza buton ko kaun kafir pujta hai nahin chaara kisi ke pas is ka mohabbat ek dard-e-la-dawa hai sharab-e-zist pita ja raha hun surur-e-hosh badhta ja raha hai jigar mein chubh rahi hai nok-e-mizhgan bala ka dard 'farigh' ho raha hai