hai ab to wo hamein us sarw-e-sim-bar ki talab ki tairan-e-hawa se hai baal-o-par ki talab jo kahiye husn ko khwahish nahin ye kya imkan use bhi ahl-e-nazar se hai ek nazar ki talab kamal-e-ishq bhi khali nahin tamanna se jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki talab pari-rukhon ko gharaz kya thi zeb-o-zinat se na hoti gar unhen apne nazara-gar ki talab talab se kis ko rihai hai bahr-e-hasti mein agar sadaf hai to us ko bhi hai guhar ki talab chaman mein bulbul-o-gul bhi hain apne matlab ke ise hai gul ki talab us ko musht-e-zar ki talab jahan wo bagh-e-tamanna hai jis ke bich 'nazir' jo ek shajar hai to us ko bhi hai samar ki talab