sambhal ai qadam ki ye kar-gah-e-nishat-o-gham hai khabar bhi hai jise log kahte hain rahguzar kisi pa-shikasta ka ghar bhi hai mujhe muddaton yahi wahm tha ki ye khak kimiya ban gai isi kashmakash mein guzar gai ki fughan karun to asar bhi hai hama-inkisar ki kaifiyat hai dam-e-widaa ki bebasi mujhe yun payam-e-sukun na de tujhe apne aap se dar bhi hai meri juraton pe bhi kar nazar tujhe chahun sau dafa tut kar ye baja ki sina-e-shauq mein gham-e-pasbani-e-dar bhi hai tujhe aagahi ki nahin khabar meri gumrahi pe na tanz kar are waqt waqt ki baat hai yahi aib rashk-e-hunar bhi hai koi us ka dard bhi puchhta ki wo kuchh dinon se udas hai ye junun ki pursish-e-haal kya jo azal se khak-basar bhi hai ye hai be-gunahi ka majra koi yunhi mujh se khincha raha yahi soch soch ke rah gaya ki mere khuda ko khabar bhi hai tujhe kho ke go main sambhal gaya ye na kah ki 'shaz' badal gaya pas-e-parda teri panah mein meri sham bhi hai sahar bhi hai