hai ajnabi na-ashna wo ghar tera ye ghar mera

hai ajnabi na-ashna wo ghar tera ye ghar mera
dil ki tarah phir kyon jala wo ghar tera ye ghar mera

ek aadmi se jis tarah ek aadmi kuchh dur hai
hai pas ho kar dur sa wo ghar tera ye ghar mera

ek jhonpadi phir ek makan phir ek imarat khak phir
kitne libason mein raha wo ghar tera ye ghar mera

main ne bahae the kabhi jo dagh dhone ko tere
un aansuon mein bah gaya wo ghar tera ye ghar mera

kuchh khidkiyan kuchh senk-che phir chaar-chhe diwar bhi
in khas chizon se bana wo ghar tera ye ghar mera

shah-e-jahan ne taj banwa kar diya paigham ye
ab ban chuka hai maqbara wo ghar tera ye ghar mera

aazad ho kar aankh se tapka zamin pe jab lahu
us ne ishaare se kaha wo ghar tera ye ghar mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close