is qadar ghaur se na sun felun bahr tuti hui hai chun felun gar aruzi zaban sikhni hai phir to kahna padega kun felun hum ne us ko kiya hai istimal kyon na gaye hamare gun felun lafz hota hai har ghazal ki aankh khwab ke sath us mein bun felun zindagi aisi bahr hai jaise faelatun mafaelun felun hai agar shairi koi naghma dosto phir hai us ki dhun felun pi ghazal ki sharab donon ne hai mere sath sath tun felun