hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka tasawwur hai mera ustad bahzad aur mani ka ghanimat samjho ye mil baithna yaran-e-jaani ka bharosa kya hai duniya mein do-roza zindagani ka nazakat ho gai zarbul-masal un ki zamane mein bhala ho ya uluhi is hamari sakht-jaani ka hai aks is chashm-e-pur-nam mein kisi aabi dupatte ka banaya hai makan hum ne ajab pani mein pani ka ghazab ka kat kar karti hain adaen us pari-wash ki ubhaaron par hai joban aur aalam hai jawani ka umangon ki kasak bechain karti hai unhen lekin nazakat rok deti hai irada naujawani ka shab-e-furqat jo thande thande ho jae visal apna guman ho maut par apni hayat-e-jawedani ka ye dil kyun bujh gaya soz-e-firaq-e-shoala-ruyan mein tamasha hai kiya hai aag ne yan kaam pani ka khayal ek chashm-e-maigun ka sada masrur rakhta hai yahan kya kaam hai saqi sharab-e-arghawani ka yahi hain dekh lo wo shair-e-moajiz-bayan 'kaifi' zamane mein hai charcha aaj jin ki khush-bayani ka