haal-e-dil kahne ko kahte ho to kab tum mujh ko hae jis waqt nahin tab-e-takallum mujh ko khak ho kar bhi wahi hasrat-e-pa-bos rahi ho gai mauj-e-saba mauj-e-talatum mujh ko zoaf se haal ye patla hai rah-e-ulfat mein sail-e-girya pe bhi hasil hai taqaddum mujh ko kahte hain zikr-e-shab-e-wasl pe kya jaaniye kyun kabhi sharm aur kabhi aata hai tabassum mujh ko moajiza hazrat-e-isa ka tha be-shubah durust ki main duniya se gaya uth jo kaha qum mujh ko sail-e-girya ki badaulat ye hua ghar ka haal khak tak bhi na mili bahar-e-tayammum mujh ko un ko gin gin ke shab-e-hijr basar hoti hai tare aankhon ke na kyun howen ye anjum mujh ko hai gazi gadha hi 'kaifi' ka shiar aur wisar nahin darkar hai ye atlas-o-qaqum mujh ko