hai bagh-e-tamanna ki bahaar apni jagah khub gul apni jagah khub hain khar apni jagah khub ye khema-zani rah mein apni jagah achchhi uthta hua manzil pe ghubar apni jagah khub hum jitne talabgar wo utna hi gurezan hum apni jagah khub hain yar apni jagah khub kam apni jagah dasht-e-masafat mein nahin hai mana ki hain ye shahr-o-dayar apni jagah khub mil jae jo qaid-e-gham-e-duniya se rihai phir to hai tere gham ka hisar apni jagah khub phir ek bhi pal arsa-e-mahshar se nahin kam kuchh der sitaron ka shumar apni jagah khub be-sabri-e-hijran mein bhi ek baat hai 'khawar' har-chand ki hain sabr-o-qarar apni jagah khub