sai-e-ghair-hasil ko muddaa nahin milta be-niyaz dil ban kar dekh kiya nahin milta zindagi-e-rafta ka kuchh pata nahin milta khak-e-pa to milti hai naqsh-e-pa nahin milta us ka aaina hai dil ja-ba-ja nahin milta dil mein jab ho tariki phir khuda nahin milta aamad-e-bahaaran ka ek payam lane se kyun tera dimagh aakhir ai saba nahin milta aaina-ba-aina hum ne dekh dale dil ek sa zamane mein dusra nahin milta jo teri nigahon se be-piye mila saqi lakh jam pi kar bhi wo maza nahin milta khizr-e-rah ne kitne mir-e-karwan lute hae wo jo kahte hain rahnuma nahin milta us ki aur manzil hai meri aur manzil hai shaikh se 'figar' apna rasta nahin milta