hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein

hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein
jab se jakda hun main kamre ke dar-o-diwar mein

chhe baras ke baad ek sune makan ke baam-o-dar
bas gae hain phir kisi ke jism ki mahkar mein

mujh ko apne jism se bahar nikalna chahiye
warna mera dam ghutega is andhere ghaar mein

yaad use ek pal bhi karne ki mujhe fursat nahin
mubtala sadiyon se mera dil hai jis ke pyar mein

dekhte hain log jab 'khawar' purani aankh se
kya nazar aae koi khubi nae fankar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close