hai chaman mein zindagi ki dastan bikhri hui phul murjhae hue aur pattiyan bikhri hui ek nazar ke samne hai us nazar ki ot mein zindagi hai do jahan ke darmiyan bikhri hui main samajhta hun zamin par inqalab aane ko hai aasman par hain shafaq ki surkhiyan bikhri hui dekhne ki chiz thi kal khwab-gah-e-naz mein hasraten sahmi hui angdaiyan bikhri hui apni haalat ko jo dekha inqalab aane ke baad dil ke virane mein thin khush-fahmiyan bikhri hui aaj 'tabish' phir yahan par baithne ke shauq mein jama karni pad gain tanhaiyan bikhri hui