aankh ke kunj mein ek dasht-e-tamanna le kar ajnabi des ko nikle dil-e-tanha le kar dekh to khol ke tarik makan ki khidki hum tere shahr mein aae hain ujala le kar hum bhi pahunche the gulistan mein sukun ki khatir aa gae zehn mein tapta hua sahra le kar ab nigahon ki jarahat ko liye sochte hain kyun gae bazm mein hum zauq-e-tamasha le kar kab se fariyaad-ba-lab aab-talab hai shirin aaj farhad bhi nikla nahin tesha le kar ru-siyah tere bane chashm-o-charag zindan ghum ab shahr mein tu chehra-e-zeba le kar is chaka-chaund mein ab mujh ko dikhai kya de aa gae aap to ek nur ka dariya le kar jab bhi haalat ke shoalon mein ghira hun 'betab' aa hi pahuncha hai koi phul sa chehra le kar