hai chand jalwa-fagan auj par sitara hai bahaar-e-sabza-e-parcham se aashkara hai hamin ne khun se sincha hai barha apne ye gul hamare hain ye gulsitan hamara hai bulandiyon se pahunchne lage salam niyaz ada-e-naz se pasti ne sar ubhaara hai utho utho ki jigar shaq hua andheron ka ufuq se subh ki tahrir aashkara hai chalo chalo ki rah-e-irtiqa hai chashm-ba-rah badho badho ki surayya pe haq tumhaara hai nasib-e-qaum mein kya rah gai kami baqi zamin sabz hai ek chand hai sitara hai utar ke aa gaya jaise zamin pe bagh-e-iram rawish-rawish ko bahaaron ne yun sanwara hai jo arz-e-pak pe hai rang-o-nur ki barish ye malik-e-do-jahan ka hasin ishaara hai kisi ko rahat-o-taskin-e-dil mile jis se 'siraj' aisi aziyyat hamein gawara hai