ise kahte hain apni zat mein mastur ho jaana tere nazdik aana aur khud se dur ho jaana ilaj-e-tishnagi ye hai ki aansu pi liye jaen kisi mai-kash ka jaise be-piye makhmur ho jaana hamara ikhtiyar-e-be-talab jabr-e-mashiyyat hai wafa ke silsile mein fitratan majbur ho jaana karishma hai ye haq-goi ka warna kaise mumkin tha mere dil ka amin-e-azmat-e-mansur ho jaana kisi shai ki kabhi fitrat na badli hai na badlegi ki jaise nar ka mumkin nahin hai nur ho jaana agar duniya mein gham hi daimi shai hai to phir yaro abas hai chand lamhon ke liye masrur ho jaana mizaj-e-ashiqi ka ye ajab andaz dekha hai tumhaara muskurana dard ka kafur ho jaana khulus-e-bahami darkar hai hasti ki rahon mein koi mushkil nahin hai zang dil se dur ho jaana ye ehsas-e-nadamat hai 'siraj' apne gunahon par kabhi ranjur ho jaana kabhi masrur ho jaana