hai dam apna apna adam apna apna yahan har kisi ko hai hai gham apna apna nahin koi taqlid ab khud-sari hai sabhi ka hai naqsh-e-qadam apna apna kahan koi banda kahan bandagi hai magar chahte hain haram apna apna har ek shakhs ka ek alag falsafa hai sanam din dozakh iram apna apna teri bazm ki hai ye rahat ghadi bhar chalenge sabhi le ke gham apna apna 'fida' kis musannif ki tasnif kya hai samajh apni apni qalam apna apna