hamare hath se qudrat ne kya jauhar dikhae hain jo nuqte khud nahin samjhe wo auron ko sikhae hain ujale ki sahar lana nahin sab ke muqaddar mein falak pe raat ne yun to kai suraj ugae hain haqiqat ke samundar mein dhule sab rang hasti ke sahar ki raushni ne nind se sapne bhagae hain taqaddus un ke chehron ka bayan karta hai aaina yahan kirdar jo ashk-e-nadamat se nahae hain badi mushkil se aaya qalb ke jazbaat par qabu ye bachche raat ke pichhle pahar hum ne sulae hain 'fida' kaise bayan kar lun main apne shahr ka qissa yahan ahl-e-wafa ne kis tarah aansu chhupae hain