hai dil-e-nakaam-e-ashiq mein tumhaari yaad bhi ye bhi kya ghar hai ki hai barbaad bhi aabaad bhi dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin han magar itna ki hai is mein tumhaari yaad bhi kis ko ye samjhaiye nairang-e-kar-e-ashiqi tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyaad bhi sine mein dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gaya ab wo haalat hai ki kar sakte nahin fariyaad bhi phad dalunga gareban phod lunga apna sar hai mere aafat-kade mein qais bhi farhad bhi kuchh to 'asghar' mujh mein hai qaim hai jis se zindagi jaan bhi kahte hain us ko aur un ki yaad bhi