hai dil ko is tarah se mere yar ki talash jis tarah thi kalim ko didar ki talash hon rind sar khula bhi jo howe to dar nahin zahid nahin ki mujh ko ho dastar ki talash main hun kahin pa aathon pahar hai usi ki fikr jati nahin hai dil se mere yar ki talash dil hathon-hath bik gaya bazar-e-ishq mein karni padi na mujh ko kharidar ki talash apne hi dil mein dhundhna lazim tha yar ko itne dinon jo ki bhi to be-kar ki talash baiana naqd-e-jaan karo 'sayyah' pesh-kash rahti hai un ko aaise kharidar ki talash