apni KHabar, na us ka pata hai, ye ishq hai

apni khabar, na us ka pata hai, ye ishq hai
jo tha, nahin hai, aur na tha, hai,, ye ishq hai

pahle jo tha, wo sirf tumhaari talash thi
lekin jo tum se mil ke hua hai, ye ishq hai

tashkik hai, na jang hai mabain-e-aql-o-dil
bas ye yaqin hai ki khuda hai, ye ishq hai

behad khushi hai, aur hai be-intiha sukun
ab dard hai, na gham, na gila hai, ye ishq hai

kya ramz jaanni hai tujhe asl-e-ishq ki?
jo tujh mein us badan ke siwa hai, ye ishq hai

shohrat se teri khush jo bahut hai, ye hai khirad
aur ye jo tujh mein tujh se khafa hai, ye ishq hai

zer-e-qaba jo husn hai, wo husn hai khuda
band-e-qaba jo khol raha hai, ye ishq hai

idrak ki kami hai samajhna ise maraz
is ki dua, na is ki dawa hai, ye ishq hai

shaffaf o saf, aur latafat mein be-misal
sara wajud aaina sa hai, ye ishq hai

yani ki kuchh bhi is ke siwa sujhta nahin?
han to janab, masala kya hai? ye ishq hai

jo aql se badan ko mili thi, wo thi hawas
jo ruh ko junun se mila hai, ye ishq hai

is mein nahin hai dakhl koi khauf o hirs ka
is ki jaza, na is ki saza hai, ye ishq hai

sajde mein hai jo mahw-e-dua wo hai be-dili
ye jo dhamal dal raha hai, ye ishq hai

hota agar kuchh aur to hota ana-parast
us ki raza shikast-e-ana hai, ye ishq hai

'irfan' manne mein tammul tujhe hi tha
main ne to ye hamesha kaha hai, ye ishq hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close