hai dil ko jo yaad aai falak-e-pir kisi ki aankhon ke tale phirti hai taswir kisi ki girya bhi hai nala bhi hai aur aah-o-fughan bhi par dil mein hui us ke na tasir kisi ki hath aae hai kya khak tere khak-e-kaf-e-pa jab tak ki na qismat mein ho iksir kisi ki yaro wo hai bigda hua baaten na banao kuchh pesh nahin jaane ki taqrir kisi ki nazan na ho munim ki jahan tera mahal hai howegi yahan pahle bhi tamir kisi ki meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi jab tak na khule zulf-e-girah-gir kisi ki aata bhi agar hai to wo phir jae hai ulta jis waqt ulat jae hai taqdir kisi ki is abru o mizhgan se 'zafar' tez ziyaada khanjar na kisi ka hai na shamshir kisi ki jo dil se udhar jae nazar dil ho giraftar mujrim ho koi aur ho taqsir kisi ki