kuchh to mujhe mahbub tera gham bhi bahut hai kuchh teri tawajjoh ki nazar kam bhi bahut hai ashkon se bhi khulta hai wo dil jo hai girafta kaliyon ke liye qatra-e-shabnam bhi bahut hai hum khud hi nahin chahte sayyaad se bachna sazish nigah-o-dil ki munazzam bhi bahut hai hai rishta-e-duzdida-nigahi bhi ajab shai qaem ye hawa par bhi hai mohkam bhi bahut hai dhae dil-e-nazuk pe bahut us ne sitam bhi phir lutf ye hai mujh pe wo barham bhi bahut hai ye turfa-tamasha hai kiya qatl bhi mujh ko aur phir mere marne ka unhen gham bhi bahut hai padte hain sitamgar ke zara war bhi ochhe aur 'fazli'-e-bismil mein zara dam bhi bahut hai