hai do-roza qayam-e-sara-e-fana na bahut ki KHushi hai na kam ka gila

hai do-roza qayam-e-sara-e-fana na bahut ki khushi hai na kam ka gila
ye kahan ka fasana-e-sud-o-ziyan jo gaya wo gaya jo mila wo mila

na bahaar jami na khizan hi rahi kisi ahl-e-nazar ne ye khub kahi
ye karishma-e-shan-e-zahur hain sab kabhi khak udi kabhi phul khila

nahin rakhta main khwahish-e-‘aish-o-tarab yahi saqi-e-dahr se bas hai talab
mujhe ta’at-e-haq ka chakha de maza na kabab khila na sharab pila

hai fuzul ye qissa-e-zaid-o-bakar har ek apne 'amal ka chakhega samar
kaho zehn se fursat-e-‘umr hai kam jo dila to khuda hi ki yaad dila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close