hai dua honton pe aur hain khwahishen hathon ke bich kaam duniya ke nikalte hain munajaton ke bich sard nindon ki musalsal gir rahi hain pattiyan kuchh safed aur kuchh siyah se khwab hain raaton ke bich lamha lamha padti rahti hai dilon mein ek girah tewari ek chal rahi hai raat din mathon ke bich dekhti hai ghaur se har shai ko wo bimar aankh ek gahra zard ashk hai us ki sab baaton ke bich jab se nikle hain dilon ke kaam mein ghate bahut hum hisab-e-dostan likhte hain ab khaton ke bich ab to uthta ja raha hai mausamon se e'tibar dil kisi sahra mein hai aur jism barsaton ke bich mujh ko 'shahin' dukh bahut deti hai us ki ye ada jaise wo hota nahin mil kar mulaqaton ke bich