is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae jab tak kisi samar ko mera dil kaha na jae shakhon pe nok-e-tegh se kya kya khile hain phul andaz-e-lala-kari-e-qatil kaha na jae kis ke lahu ke rang hain ye khar shokh-rang kya gul katar gai rah-e-manzil kaha na jae baran ke muntazir hain samundar pe tishna-lab ahwal-e-mezbani-e-sahil kaha na jae mere hi sang-o-khisht se tamir-e-baam-o-dar mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae zindan khula hai jab se hue hain riha asir har gam hai wo shor-e-salasil kaha na jae hum ahl-e-ishq mein nahin harf-e-gunah se kam wo harf-e-shauq jo sar-e-mahfil kaha na jae jis hath mein hai tegh-e-jafa us ka nam lo 'majruh' se to sae ko qatil kaha na jae