hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai main wo sail hun jise koi sada yaad nahin main ne jin ke liye rahon mein bichhaya tha lahu hum se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin kaise bhar aain sar-e-sham kisi ki aankhen kaise tharrai charaghon ki ziya yaad nahin sirf dhundlae sitaron ki chamak dekhi hai kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kati hai jaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin aao ek sajda karen aalam-e-madhoshi mein log kahte hain ki 'saghar' ko khuda yaad nahin