waqt ke chehre pe chadhti dhup ka ghaza laga kuchh mere rang-e-sukhan ka is se andaza laga ek lafz-e-kun amin-e-alam-e-imkan hazar ek ek lamhe se to sadiyon ka andaza laga tut jata hun shikasta aaine ko dekh kar jab kabhi khud se mila hun zakhm ek taza laga ek na ek aaseb chupke se abhi dar aaega band kar ghar ke dariche lakh darwaza laga sochta kya hai muqaddar aazmana shart hai khul hi jaega daricha koi aawaza laga chilchilati dhup ki nazron ne taka hai wahin sabz tahni par agar ek phul bhi taza laga ijz ejaz-e-sukhan hai mani-e-ijad-e-fan qimat-e-arz-e-hunar ka kuchh to andaza laga