hai duniya mein zaban meri agar band magar mani ke mujh par kab hain dar band jo sab nama kiya aata hai dekhen likha nama diya qasid ko sar-band khuda jaane hai is mein maslahat kya khuli hai rah lekin hai khabar band rihai jite-ji mumkin nahin hai qafas hai aahani dar-band par band kahen bhi ab nahin mera thikana ki ek ek ghar hai band ek ek dar band na kyun taklif ho arman ko dil mein kahan jae kidhar jae hai ghar band mujhe aata nahin kya kaam karna magar bab-e-dua band aur asar band kahen bhule se koi aa to jae hum apne dil mein rakkhenge nazar band dua ye hai ki ya-rab mutmain hon ho ulfat mein kasi surat se shar band wo raaziq rizq pahunchata hai sab ko khulen sattar agar ho ek dar band baradar quwwat-e-bazu hai mana magar farzand hota hai jigar-band mera dil bhi tilismi hai khazana ki is mein khair bhi hai aur shar band bashir achchhi zaban pai hai tu ne tari durj-e-dahan mein hain guhar band