teri ummid ke asbab nazar aate nahin kyon mujhe koi hasin khwab nazar aate nahin itna bhatka hun aziyyat ke bayaban mein ki ab koi bhi lamha-e-nayab nazar aate nahin kis qadar dhundle hain mazlum ki aahon se falak mehr-o-anjum hun ki mahtab nazar aate nahin dast-bardar nahin rasm-e-talluq se main phir bhala kyon mujhe ahbab nazar aate nahin itni duri hai ab un se ki mujhe ai 'shauqi' chain se hain ki wo betab nazar aate nahin