hai garm mulkon ka suraj tere jalal ki gard ghurur-e-kahkashan hai tere jamal ki gard mohabbaton ke kharabon mein dhup kam nikli kabhi judai ke kohre kabhi malal ki gard kabhi to guzre udhar se bhi karwan-e-bahaar kabhi to pahunche yahan bhi tere khayal ki gard hamare baalon pe mausam hai barf-bari ka hamare chehre pe udti hai mah-o-sal ki gard tamam aalam-e-imkan hai ek khayal mein gum na pa sakega zamana kabhi khayal ki gard