kahan kisi ki himayat mein mara jaunga

kahan kisi ki himayat mein mara jaunga
main gham-shanas murawwat mein mara jaunga

main mara jaunga pahle kisi fasane mein
phir is ke baad haqiqat mein mara jaunga

mera ye khun mere dushmanon ke sar hoga
main doston ki hirasat mein mara jaunga

main chup raha to mujhe mar dega mera zamir
gawahi di to adalat mein mara jaunga

hisas mein bant rahe hain mujhe mere ahbab
main karobar-e-shirakat mein mara jaunga

bas ek sulh ki surat mein jaan-bakhshi hai
kisi bhi dusri surat mein mara jaunga

nahin marunga kisi jang mein ye soch liya
main ab ki bar mohabbat mein mara jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close