hai gulu-gir bahut raat ki pahnai bhi tera gham bhi hai mujhe aur gham-e-tanhai bhi dasht-e-wahshat mein ba-juz-reg-e-rawan koi nahin aaj kal shahr mein hai lala-e-sahrai bhi main zamane mein tera gham hun ba-unwan-e-wafa zindagi meri sahi hai teri ruswai bhi aaj tu ne bhi mere haal se munh pher liya aaj nam-nak hui chashm-e-tamashai bhi ab khula hai ki tera husn-e-taghaful tha karam garche kuchh der tabiat meri ghabrai bhi juz-gham-e-dahr mujhe koi na pahchan saka tere kuche mein teri yaad mujhe lai bhi un ki mahfil mein 'zafar' log mujhe chahte hain wo jo kal kahte the diwana bhi saudai bhi