ye baat ab ke use batana nahin padegi ghazal ko hargiz ghazal sunana nahin padegi jo wo mila to main kharch kar dunga ek pal mein badan ki khushbu mujhe bachana nahin padegi tujhe byahun to do qabile qarib honge kisi ko banduq bhi uthana nahin padegi main apne lahje ka hath thame nikal pada hun kisi ko aawaz bhi lagana nahin padegi main apni har ek siyah-bakhti ko jaanta hun 'zaim' tote ko fal uthana nahin padegi