hai haal jae girya-e-jaan par aarzu ka roe na hum kabhu tak daman pakad kaso ka jati nahin uthai apne pe ye khushunat ab rah gaya hai aana mera kabhu kabhu ka us aastan se kis din pur-shor sar na patka us ki gali mein ja kar kis raat main na kuka shayad ki mund gai hai qamri ki chashm-e-giryan kuchh tut sa chala hai pani chaman ki ju ka apne tadapne ki to tadbir pahle kar lun tab fikr main karunga zakhmon ke bhi rafu ka danton ki nazm us ke hansne mein jin ne dekhi phir motiyon ki lad par un ne kabhu na thuka ye aish-ga nahin hai yan rang aur kuchh hai har gul hai is chaman mein saghar bhara lahu ka bulbul ghazal-sarai aage hamare mat kar sab hum se sikhte hain andaz guftugu ka galiyan bhari padi hain ai baad zakhmiyon se mat khol pech zalim us zulf-e-mushk-bu ka we pahli iltifaten sari fareb niklin dena na tha dil us ko main 'mir' aah chauka