jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant khwaja-qutbuddin mein phir gadwa bana kar le gai yani un ki nazr ko sau phul gul lai basant wan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat mein chali turbat-e-khusraw pe phir ho ke khade gai basant su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tawaf ho gai wohin bayabani-o-sahrai basant wohin phir darbar-e-shah-e-hind mein rakh kar qadam nachne gane lagi hans hans ba-zebai basant phir janab aasif-e-dauran mein ba-sad aish-o-naz ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant 'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant