hai hukm ki ho din bhi to hum raat samajh len achchha hai ki is baat ko hum baat samajh len sunte hain ki hai gardish-e-ayyam badi chiz mohlat hamein mil jae to auqat samajh len apna sa kaleja hai kisi ka ki bhare khet patthar bhi baras jaen to barsat samajh len hain ghair ki amrit pe bhi na-khush hain udhar hum tum zahr bhi bhijwao to saughat samajh len is tarah phanse hain ki samajh bujh hai nalan fursat hamein mil jae to haalat samajh len kar de jo ishaara nigah-e-naz to 'kundan' jiti hui bazi ko bhi hum mat samajh len