bayan ho nahin sakti kisi se shan-e-ghazal

bayan ho nahin sakti kisi se shan-e-ghazal
adab mein jalwa-e-sad-rang hai jahan-e-ghazal

zamin-e-sher ka sadqa ki hai bhara pura
hazar-rang sitaron se aasman-e-ghazal

hain us ki silk mein ashaar-e-tab-dar anjum
hai kahkashan se siwa husn-e-kahkashan-e-ghazal

us aab-rud ke qurban ki jis mein dhul dhul kar
kanwal khilati hai takhil ki zaban-e-ghazal

hudud-band zabanen samajh se dur sahi
bahut hi sahl hai sab ke liye zaban-e-ghazal

teri zaban samajhta na ho jahan koi
wahan to bol ke tu dekh bar zaban-e-ghazal

ye shokh-o-shang hai kafir magar muaddab hai
buland rahta na warna kabhi nishan-e-ghazal

chala tha jab bhi thi dhaj us ki dekhne ki chiz
hai ab bhi qabil-e-nazzara karwan-e-ghazal

hazar josh uthe khanjar-azma ho kar
magar wo chhu bhi nahin pae farq-e-shan-e-ghazal

jo marte rahe patthar wo nim-wahshi the
jab aaya hosh to dekha wahin makan-e-ghazal

shaguft-e-gul pe bhala kis ka zor chalta hai
kisi se band na hoga kabhi dahan-e-ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close