hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya aankhon mein hain poshida tere lal-o-gohar kya ashkon ke sitare kaji yaadon ke sharar hain ab un ke siwa aur nahin sham-o-sahar kya phir arsa-e-mahtab hai shab-khun ki kahani kirnon ki sinanen hain ki hain tar-e-jigar kya ye raat ye mahtab ye khushbu ye tarannum aks-e-gham-e-jaanan bhi hai taskin asar kya hum kis se kahen qissa-e-mahrumi-e-bulbul dushman hai gulistan hi sara gul-e-tar kya jis dard ka daman teri palkon se bandha ho us dard ki ho sakti hai tadbir digar kya har marhala-e-sakht mere shauq ki manzil manzil pe pahunchna hai khatar kya hai hazar kya phir dil pe barasti hai tere pyar ki shabnam ab khauf-e-bad-andeshi-e-khurshed-e-sahar kya ek dhund si chhai hai sar-e-jada-e-ummid har gam pe laenge nai sham-e-nazar kya tajdid-e-tamanna bhi hai wamandagi-e-shauq phir qafila lutta hai sar-e-rahguzar kya mahfil mein ye kaun aaya ki bujhne lagin shamen lo sham se paida hue aasar-e-sahar kya