jigar ke khun se tazin-e-baal-o-par kar di chaman-asir ne yun zindagi basar kar di hikayat-e-gham-e-dil yun bhi mukhtasar hi thi tumhaare kahne se lo aur mukhtasar kar di meri wafa ki kahani se kaun waqif tha tumhaare jaur ne tashhir dar-ba-dar kar di qadam badhao ki manzil qarib hai shayad tabhi to rah harifon ne tang tar kar di ye kis jahan-e-tamanna ka phir khayal aaya ki jis khayal ne har shai aziz-tar kar di shaban-e-zulf ki baaten tulua-e-rukh ki khair tamam umr ibaadat mein mukhtasar kar di nae hain jam-o-subu baada-o-khumar naya aur hum ne kohna-sharabi mein shab sahar kar di bahut hi khub thi rudad-e-mausam-e-hasti teri nigah ke sae ne khub-tar kar di na manzilon ki khabar hai na raston ka pata mata-e-qalb-o-nazar nazr-e-rah par kar di nae shuur nae falsafe nai aqdar ayyar-e-ishq ne har kaenat sar kar di