hai husn sau hijab-e-farozan liye hue kya dekhe koi dida-e-hairan liye hue lutf-e-qubul-e-husn ka arman liye hue hazir hain hum mata-e-dil-o-jaan liye hue dam-e-qafas ka dosh pe saman liye hue sayyaad uthe nawed-e-bahaaran liye hue kya kahiye bahr-e-shauq ki hangama-kheziyan hai mauj-mauj shorish-e-tufan liye hue uljha hua hai zulf-e-tasawwur ka baal baal har khwab hai khayal-e-pareshan liye hue aalam tamam zulmat-e-nau se hai tira-jaan baithe ho shama tum tah-e-daman liye hue wo surma karenge koi marka bhi sar aae jo ran mein qalb-e-harasan liye hue 'arif' payam-e-am-e-mohabbat tera payam insan ke pas ja gham-e-insan liye hue