umr ke lambe safar se tajraba aisa mila dhup jab bhi sar pai aai lapata saya mila dekhna hai aks mujh ko apna pura hi magar jab mila wo aaina mujh ko zara tuta mila hanste chehron ki kahani jaanti hun khub main jis ko bhi parkha wahi tuta mila bikhra mila jal rahe hain panw ek muddat se rahat ke liye jis taraf bhi main gai tapta hua sahra mila raat din mangi dua jis ham-safar ke waste mere jite ji wo mera marsiya padhta mila