hai ibtida-e-gham-e-ishq roe jate hain

hai ibtida-e-gham-e-ishq roe jate hain
libas rangne se pahle bhigoe jate hain

sata raha hai mere khun-e-narawa ka khayal
wo nind mein hain magar hath dhoe jate hain

rahe hamesha ye fankar be-niyaz-e-sitam
qalam ki nok lahu mein duboe jate hain

wo dekh dekh ke shadab lala-zar-e-jigar
ghamon ke bij mere dil mein boe jate hain

hawas yurish-e-tahzib-e-nau mein gum jo hue
hum apne gauhar-e-aqdar khoe jate hain

kahan se 'barq' ne andaz-e-fikr-o-fan ke liye
ghazal mein dard ke jauhar samoe jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close