hai id lao mai-e-lala-fam uth uth kar gale lagate hain shishon ko jam uth uth kar hawa chali meri uftadgi ki ai saqi girenge nashshe mein sab khush-khiram uth uth kar zamin-o-arsh-o-falak paemal hote hain na jao sahn se baala-e-baam uth uth kar koi bashar na ho maghrur jism-e-khaki par ki baithte hain bahut qasr-e-kham uth uth kar dam-e-sahar nazar aaya hai kis ka munh yarab sanam jo karte hain mujh ko salam uth uth kar zara uthaiye tabut apne aashiq ka khuda ki rah ka karte hain kaam uth uth kar qayamat aai hai halchal hai aasmanon par na phiriye bahr-e-khuda baam baam uth uth kar pade hain panw ki surat zaban mein ghatte ye qasidon ko diye hain payam uth uth kar banegi shoala-e-jawwala gardish-e-qismat tumhaare gird phirega ghulam uth uth kar badhegi baat na baithenge chupke hum ai but raqib se jo karoge kalam uth uth kar rahegi aashiqon ke dast-o-pa mein jab tak his tumhaari lenge balaen mudam uth uth kar khuda bithae agar karbala mein mujh ko 'munir' phirun main gird-e-mazar-e-imam uth uth kar