jaise dariya mein guhar bolta hai sat pardon mein hunar bolta hai teri khamoshi se dahshat hai ayan teri aawaz mein dar bolta hai jag auron ko jagane ke liye bol jis tarah gajar bolta hai dil ki dhadkan se larazta hai badan apni wahshat mein khandar bolta hai ye wahi saat-e-bedari hai jab duaon mein asar bolta hai ho gaya rang-e-sukhan se zahir sher mein khun-e-jigar bolta hai